wo raat ki khamoshi mein
sun na pooray din ka shorr,.
agle din ki fikr karna
aur aaj ke khoye hue din per,
aahein bharna,
kitna khoya aur kya paaya,
kisse roothe, kisko manaya
jahan se shuru,
wahin per khatam hue,
aaj kitne gunha,
na jaanay apne sir hue,
kuch padha,kuch padhaya,
zara sa hansay, bohot rulaya,
wo raat ki khamoshi mein
sun na pooray din ka shorr,.
kisi ko yaad kiya,
to kisi ko shayad bhul gaye,
falaan ko gali di,
aur laga khud ke daag ,dhul gaye,
kahin afsos zahir kiya,
to kahin, mubarakbaad di,
udhar ko dauday, idhar ko bhagay,
kamyabi k wastay aaj phir kayi sir kaatay,
thoda rukay to they kahin,
shayad bhook lagi thi,
phir haan! peit to bhara par khaana bhul gaye
wo raat ki khamoshi mein
sun na pooray din ka shorr,.
ab aayein hain raat mein,
khud ke saath baithne ke liye,
kuch tatolna hai shayad,
kuch sochna hai shayad,
thoda rona hai shayad,
baywajah hansna hai shayad,
zindagi jeena hai shayad,
wo raat ki khamoshi mein
sun na pooray din ka shorr,.
Tanveer.